Thursday 22 September 2016

..Alwida,



...Kitni ajeeb baat hain naa,
jab tu mere paas thi, to har-dum ye sochta tha, ke kya me teri kadar nahi karta,
aur aaj, jab tu mere paas nahi hain, tab ehsaas hua ke kadar to humesha se hi thi, bas tumhe na khone ke yakeen ne andha kar diya tha,
bhala kya pata tha esa bhi kuch ho sakta hain, mera tujhse alag hona utna hi namumkeen tha, jitna tera mujhse nafrat karna,

Betha hu thandi zameen par,aankho me wo teri ekdum alag si, pyaari si hasi,
hath me teri ek tasveer hain, jise dekh kar hardum me tere chehre pe aane wale baal tere kano ke piche laga deta hoon, tujhe bahot tang karte he na?
Jab tu unblock kare mujhe to online padh ke bada khush ho jaata hu, aur jab tu block karde to dil behlaane ke liye tujhe msg kar deta hu, tere jawab to mujhe pata hi hote he na?
teri payal ab mere haatho me bandhi rehti hain, ekdum wesi hi,
ha bas uske ghunghru jaroor nikal liye hain, taki tere hone kaa yakeen to ho par ehsaas nahi,

Yaad aati he wo sari kahaniya jo roz raat tu mujhko sunati thi,
chupke se, Huby! so gaye kya? kehke ek good night kiss de jaati thi,
tu sulaati thi to me so jata tha, ab jab tu nahi sulati?
to esa lagta hain jese meri neend hi so gayi hain,
wo meri pyaari si bebu, bheed me kahi kho gayi hain,
Jab bhi teri bahot yaad aati hain, to apne takeeye ko zoro se hug kar leta hoon,
par ye to mujhe wapas gale hi nahi lagati,
bol na ise, daat de, bol na ise tang na kare...bol na!

Gaane nahi sunta hu me ab, na suna paata hu,
har chiz se tu judi hain, har chiz me tu basi hain, dil me kahi rahat si fasi hain,
yaad aati he wo gali mujhe, jahaa me aaya karta tha,
khud bus stand par beth ke tumhe paani leke bulaya karta tha,
Gali to ab bhi wahi hain, dukaane bhi wahi hain, bas bheed bahot ho gayi hain,
us chhoti si gali me ab meri jagah nahi, abhi to raah mili thi ki manzeel hi mud gayi kahi,
I miss you.....I miss you soo much...

Rota hu, tadapta hu, hardum girta padta hu,
koi nahi he puchne wala, koi nahi he puchtaa,
Huby! zyada to nahi lagi? aao kissy kar loon, sab thik ho jayega,
Kon ab roz roz dava yaad dilayega?
Kon baat baat par pyaari si smile karega?
Kon mujhe ulti sidhi harqate karne se rokega?
Kon mujhe nind na aane par raat ko jagayega?
Kon roz mere gaane sunke soyega?
Kon mujhe esa-wesa khane se rokega?
Kon har boori baat pe mujhe tokega?
Kon meri hugy ke liye din bhar wait karega?
Kiska 2 gulab-jamoon me hi pet bharega?
Kon banega bebu mera? kisko pyaar karoonga mein?
Kiski bahot hifaazat, bahot laad karoonga mein?

Chhin leti apne aap ko? kyun chhin li mujhse meri rosy?
bahot masoom hain wo, mann se he bilkul sacchi,
janta hu mein, wo zinda hain, zinda hain kahi tujhme,
bandhi hui hain nafrat ki zanzeeron mein, jise todne ki taakat abhi nahi he usme,
par ha, ye na sochna ke ye bhi hain ek koshish,
tu kabhi nahi aa sakti zindgi me meri,
par bhula na paunga ye sari yaade teri,

Shaayad is chhote se dil ke liye ab tu bahot badi ho gayi hain,
Shaayad is pyaar ke sagar me kuch bundo ki kami ho gayi hain,
Khush rakhna ise ey mere khuda,
Tere ansu, kabhi na bahe teri ankho se sada,
Mere aansu juthe lagte hain, to nahi sunegi tu ab meri siskiyaan, hain meri kasam,

Is dard ko daba loonga mein,
In aansuo ko chhupa loonga mein,
Is yaado ki aag ko ashqon se bujha loonga mein,
.
.
.
.

Leta hu ek aakhri Alwida tujhse, karta hu is chhoti si kahani ka pyaara sa ant,
Khush rehna tu humesha, khushiyan mile tujhe anant,

JAA, TERI NAZRON SE AB MENE MUH MOD LIYA,
TERI KHUSHI KE LIYE MENE, TUJHE HI CHHOD DIYA.........

...Destiny,

. . . The story starts in a dark room, curtains closed, just the sound of the table clock, and the sound of the  pen tip spreading its ink i...