.
Maang ki sindoor rekha tumse puchhegi kal,
Yoon mujhe Sar par sajaane ka tumhe adhikaar kya hain..!
Tum kahogi wo samarpan bachpanaa tha to kahegi,
Gar wo sab kuchh bachpana tha to kaho phir pyaar kyaa hain.!
Kal koi ulhad aaynaa bawra zonka pawan ka,
Jab tumhare eengito par gandh bhar dega chaman mein
Yaa koi chandaa dhara ka roop ka maara bechara,
Kalpana ke taar se naxatra jad dega gagan mein,
Tab yahi vichhuye, mahawar, chhudiya, gajare kahenge,
Iss amar saubhagya ke shrungaar ka adhikar kya hain..!
Maang ki sindoor rekha tumse ye pucchegi kal,
Yoon mujhe Sar par sajaane ka tumhe adhikaar kya hain..!
Tum kahogi wo samarpan bachpana tha to kahegi,
Gar wo sab kuch bachpana tha to kaho phir pyaar kya hain
Kal koi tumhare khwaabo ka sehra sarr par sajayega,
Jab tumhari saptavarni chhanv me sone chalega,
Yaa koi haara thaka vyaakul sipahi tumhare
Vax par dhar sees hichkiyaa rone lagega,
Tab kisi tann par kasi do baanh jud kar poonch lengi,
Iss pranay jeevan samar me jeet kya hain haar kya hain..!
Maang ki sindoor rekha tumse ye pucchegi kal,
Yoon mujhe Sar par sajaane ka tumhe adhikaar kya hain..!
Tum kahogi wo samarpan bachpana tha to kahegi,
Gar wo sab kuch bachpana tha to kaho phir pyaar kya hain.
_keyur_everything
No comments:
Post a Comment