Saturday 9 April 2016

..JAHAAN,

Aasmaan se pare, ek jahaan h kahi,
Jhutth sach ka wahaa qayeda hi nai,
Fiza me waha ki mehak khub hain,
Pyaar dhadkan se pehle jaha aate h,

Chal wahaa jate h-2
Gum na koi h jaha
Hum waha jate h,

Baho me tum mere aake so jao na,
Narmio me saanso ki kho jao na,
Ankho me naye khwab buno,

Chal waha jate-2

Aake haatho me hath de jao na,
Firse wahi shukun ke rang bhar jao na,
Baat itni si meri suno,

Chal wahaa jate hain,
Chal wahaa jate hain,

Kash ek aur jahaan hota,
Aur mein tumhe keh pata,
Chal wahaan jate hain,
Chal wahaa jate hain,

CHAL WAHAAN JATE HAIN,

-HERO

No comments:

Post a Comment

...Destiny,

. . . The story starts in a dark room, curtains closed, just the sound of the table clock, and the sound of the  pen tip spreading its ink i...